na jaane qafile poshida kis ghubaar mein hain | न जाने क़ाफ़िले पोशीदा किस ग़ुबार में हैं - Akhtar Ansari Akbarabadi

na jaane qafile poshida kis ghubaar mein hain
ki manzilon ke charaagh ab tak intizaar mein hain

bacha bacha ke guzarna hai daaman-e-hasti
shareek-e-khaar bhi kuch jashn-e-nau-bahaar mein hain

kisi jadeed talaatum ka intizaar na ho
suna to hai ki safeene abhi qaraar mein hain

pukaarte hain ki daudo guzar na jaaye ye daur
charaagh bujhte hue se jo rahguzar mein hain

abhi to door hai manzil ye qaafilon ke hujoom
abhi to marhala-e-jabr-o-ikhtiyaar mein hain

abhi bahaar ne seekhi kahaan hai dil-jooi
hazaar daagh abhi qalb-e-laala-zaar mein hain

nikhar nikhar ke jo masmoom kar rahe hain fazaa
kuch aise phool bhi akhtar nayi bahaar mein hain

न जाने क़ाफ़िले पोशीदा किस ग़ुबार में हैं
कि मंज़िलों के चराग़ अब तक इंतिज़ार में हैं

बचा बचा के गुज़रना है दामन-ए-हस्ती
शरीक-ए-ख़ार भी कुछ जश्न-ए-नौ-बहार में हैं

किसी जदीद तलातुम का इंतिज़ार न हो
सुना तो है कि सफ़ीने अभी क़रार में हैं

पुकारते हैं कि दौड़ो गुज़र न जाए ये दौर
चराग़ बुझते हुए से जो रहगुज़ार में हैं

अभी तो दूर है मंज़िल ये क़ाफ़िलों के हुजूम
अभी तो मरहला-ए-जब्र-ओ-इख़्तियार में हैं

अभी बहार ने सीखी कहाँ है दिल-जूई
हज़ार दाग़ अभी क़ल्ब-ए-लाला-ज़ार में हैं

निखर निखर के जो मस्मूम कर रहे हैं फ़ज़ा
कुछ ऐसे फूल भी 'अख़्तर' नई बहार में हैं

- Akhtar Ansari Akbarabadi
0 Likes

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari Akbarabadi

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari