ye rang-o-kaif kahaan tha shabaab se pehle | ये रंग-ओ-कैफ़ कहाँ था शबाब से पहले - Akhtar Ansari Akbarabadi

ye rang-o-kaif kahaan tha shabaab se pehle
nazar kuch aur thi mauj-e-sharaab se pehle

na jaane haal ho kya daur-e-iztiraab ke ba'ad
sukoon mila na kabhi iztiraab se pehle

wahi gareeb hain khaana-kharaab se ab bhi
ravaan-davaan the jo khaana-kharaab se pehle

wahi hai hashr ka aalam ab inqilaab ke ba'ad
jo hashr utha tha yahan inqilaab se pehle

mili hai tujh se to mehsoos ho rahi hai nazar
nazar kahaan thi tire intikhaab se pehle

tabaah haal zamaane ko dekhiye akhtar
nazar uthaiye jaam-e-sharaab se pehle

ये रंग-ओ-कैफ़ कहाँ था शबाब से पहले
नज़र कुछ और थी मौज-ए-शराब से पहले

न जाने हाल हो क्या दौर-ए-इज़्तिराब के बा'द
सुकूँ मिला न कभी इज़्तिराब से पहले

वही ग़रीब हैं ख़ाना-ख़राब से अब भी
रवाँ-दवाँ थे जो ख़ाना-ख़राब से पहले

वही है हश्र का आलम अब इंक़लाब के बा'द
जो हश्र उठा था यहाँ इंक़लाब से पहले

मिली है तुझ से तो महसूस हो रही है नज़र
नज़र कहाँ थी तिरे इंतिख़ाब से पहले

तबाह हाल ज़माने को देखिए 'अख़्तर'
नज़र उठाइए जाम-ए-शराब से पहले

- Akhtar Ansari Akbarabadi
0 Likes

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari Akbarabadi

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari