zabaan band rahi dil ka muddaa na kaha | ज़बान बंद रही दिल का मुद्दआ' न कहा - Akhtar Ansari Akbarabadi

zabaan band rahi dil ka muddaa na kaha
magar nigaah ne us anjuman mein kya na kaha

muheet-e-shauq mein hum doobte ubharte rahe
khuda gawaah kabhi jor-e-na-khuda na kaha

sanam-kada hai ki ik mehfil-e-khuda-wandaan
bahut khafa hua vo but jise khuda na kaha

hazaar khizr-numa log raaston mein mile
hamaare dil ne kisi ko bhi rehnuma na kaha

ye kaayenaat to hai khair mujh se begaana
agar nigaah ne teri bhi aashna na kaha

ज़बान बंद रही दिल का मुद्दआ' न कहा
मगर निगाह ने उस अंजुमन में क्या न कहा

मुहीत-ए-शौक़ में हम डूबते उभरते रहे
ख़ुदा गवाह कभी जौर-ए-ना-ख़ुदा न कहा

सनम-कदा है कि इक महफ़िल-ए-ख़ुदा-वनदाँ
बहुत ख़फ़ा हुआ वो बुत जिसे ख़ुदा न कहा

हज़ार ख़िज़्र-नुमा लोग रास्तों में मिले
हमारे दिल ने किसी को भी रहनुमा न कहा

ये काएनात तो है ख़ैर मुझ से बेगाना
अगर निगाह ने तेरी भी आश्ना न कहा

- Akhtar Ansari Akbarabadi
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari Akbarabadi

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari