lutao jaan to banti hai baat kis ne kaha | लुटाओ जान तो बनती है बात किस ने कहा - Akhtar Ansari Akbarabadi

lutao jaan to banti hai baat kis ne kaha
ye bazm-e-ishq mein raaz-e-hayaat kis ne kaha

rah-e-talab mein sunaata koi taraana-e-nau
yahan fasaana-e-zaat-o-sifaat kis ne kaha

abhi savaabit-o-sayyaar mein hai fasl bahut
simat chuki hai bahut kaayenaat kis ne kaha

har ik chot pe khulti hai aankh insaan ki
hain khizr-e-raah-e-talab haadsaat kis ne kaha

hum aasmaan ko zameen par utaar laaye magar
abhi nahin hai shuoor-e-hayaat kis ne kaha

hum apni dhun mein hain masroof kis taraf dekhen
humein nahin hai gham-e-iltifaat kis ne kaha

humein sukoon mayassar nahin magar akhtar
hamaare daur ko daur-e-najaat kis ne kaha

लुटाओ जान तो बनती है बात किस ने कहा
ये बज़्म-ए-इश्क़ में राज़-ए-हयात किस ने कहा

रह-ए-तलब में सुनाता कोई तराना-ए-नौ
यहाँ फ़साना-ए-ज़ात-ओ-सिफ़ात किस ने कहा

अभी सवाबित-ओ-सय्यार में है फ़स्ल बहुत
सिमट चुकी है बहुत काएनात किस ने कहा

हर इक चोट पे खुलती है आँख इंसाँ की
हैं ख़िज़्र-ए-राह-ए-तलब हादसात किस ने कहा

हम आसमाँ को ज़मीं पर उतार लाए मगर
अभी नहीं है शुऊर-ए-हयात किस ने कहा

हम अपनी धुन में हैं मसरूफ़ किस तरफ़ देखें
हमें नहीं है ग़म-ए-इल्तिफ़ात किस ने कहा

हमें सुकून मयस्सर नहीं मगर 'अख़्तर'
हमारे दौर को दौर-ए-नजात किस ने कहा

- Akhtar Ansari Akbarabadi
0 Likes

Bekhudi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari Akbarabadi

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Bekhudi Shayari Shayari