nazar se safha-e-aalam pe khooni dastaan likhie | नज़र से सफ़्हा-ए-आलम पे ख़ूनीं दास्ताँ लिखिए - Akhtar Ansari Akbarabadi

nazar se safha-e-aalam pe khooni dastaan likhie
qalam se kya hikaayaat-e-zameen-o-aasmaan likhie

mita de jo fazaa ki teergi maahol ki pasti
koi aisa bhi she'r ai sha'iraan-e-khush-bayaan likhie

bapaa hain har jihat mein aatish-o-aahan ke hangaame
kahaan is daur mein zor-o-jafa-e-mahwashaan likhie

khatr-ha-e-rah-e-majnoon ka qissa kyun bayaan kijie
nazar ko naqa-e-laila khird ko saarbaan likhie

yahi hain yaadgaar-e-ghuncha-o-gul is zamaane mein
inheen sukhe hue kaanton se zikr-e-gulsitaan likhie

bayaan karne ko hai tarz-e-tapaak-e-dostaan kaafi
ab is duniya mein kya rang-e-ghuroor-e-dushmanaan likhie

rivaayat-e-kuhan mein dilkashi baaki nahin akhtar
naye andaaz se taarikh-e-shehar-e-gul-rukhan likhie

नज़र से सफ़्हा-ए-आलम पे ख़ूनीं दास्ताँ लिखिए
क़लम से क्या हिकायात-ए-ज़मीन-ओ-आसमाँ लिखिए

मिटा दे जो फ़ज़ा की तीरगी माहौल की पस्ती
कोई ऐसा भी शे'र ऐ शाइ'रान-ए-ख़ुश-बयाँ लिखिए

बपा हैं हर जिहत में आतिश-ओ-आहन के हंगामे
कहाँ इस दौर में जौर-ओ-जफ़ा-ए-महवशाँ लिखिए

ख़तर-हा-ए-रह-ए-मजनूँ का क़िस्सा क्यूँ बयाँ कीजिए
नज़र को नाक़ा-ए-लैला ख़िरद को सारबाँ लिखिए

यही हैं यादगार-ए-ग़ुंचा-ओ-गुल इस ज़माने में
इन्हीं सूखे हुए काँटों से ज़िक्र-ए-गुल्सिताँ लिखिए

बयाँ करने को है तर्ज़-ए-तपाक-ए-दोस्ताँ काफ़ी
अब इस दुनिया में क्या रंग-ए-ग़ुरूर-ए-दुश्मनाँ लिखिए

रिवायात-ए-कुहन में दिलकशी बाक़ी नहीं 'अख़्तर'
नए अंदाज़ से तारीख़-ए-शहर-ए-गुल-रुख़ाँ लिखिए

- Akhtar Ansari Akbarabadi
0 Likes

Kahani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari Akbarabadi

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Kahani Shayari Shayari