sharaab aaye to kaif-o-asar ki baat karo | शराब आए तो कैफ़-ओ-असर की बात करो - Akhtar Ansari Akbarabadi

sharaab aaye to kaif-o-asar ki baat karo
piyo to bazm mein fikr-o-nazar ki baat karo

fasaana-e-kham-e-gesoo mein kaif kuch bhi nahin
nizaam-e-aalam-e-zer-o-zabar ki baat karo

chaman mein daam bichaata hai waqt ka sayyaad
gulon se hausla-e-baal-o-par ki baat karo

qaba-e-zohd ki paakizagi to dekh chuke
sharaab-khaane mein daaman-e-tar ki baat karo

kahaaniyaan shab-e-hijraan ki ho chuki hain tamaam
sehar tuloo hui hai sehar ki baat karo

chaman chaman mein udhar ho rahi hai had-bandee
khuli fazaayein jidhar hain udhar ki baat karo

gulon ka zikr bahaaron mein kar chuke akhtar
ab aao hosh mein barq-o-sharar ki baat karo

शराब आए तो कैफ़-ओ-असर की बात करो
पियो तो बज़्म में फ़िक्र-ओ-नज़र की बात करो

फ़साना-ए-ख़म-ए-गेसू में कैफ़ कुछ भी नहीं
निज़ाम-ए-आलम-ए-ज़ेर-ओ-ज़बर की बात करो

चमन में दाम बिछाता है वक़्त का सय्याद
गुलों से हौसला-ए-बाल-ओ-पर की बात करो

क़बा-ए-ज़ोहद की पाकीज़गी तो देख चुके
शराब-ख़ाने में दामान-ए-तर की बात करो

कहानियाँ शब-ए-हिज्राँ की हो चुकी हैं तमाम
सहर तुलूअ' हुई है सहर की बात करो

चमन चमन में उधर हो रही है हद-बंदी
खुली फ़ज़ाएँ जिधर हैं उधर की बात करो

गुलों का ज़िक्र बहारों में कर चुके 'अख़्तर'
अब आओ होश में बर्क़-ओ-शरर की बात करो

- Akhtar Ansari Akbarabadi
0 Likes

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari Akbarabadi

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari