zulm sahte rahe shukr karte rahe aayi lab tak na ye dastaan aaj tak | ज़ुल्म सहते रहे शुक्र करते रहे आई लब तक न ये दास्ताँ आज तक - Akhtar Ansari Akbarabadi

zulm sahte rahe shukr karte rahe aayi lab tak na ye dastaan aaj tak
mujh ko hairat rahi anjuman mein tiri kyun hain khaamosh ahl-e-zabaan aaj tak

ishq mahv-e-gham-e-zindagi ho gaya husn madhosh-e-ishwa-taraazi raha
ahl-e-dil hosh mein aa chuke hain magar hai wahi aalam-e-dilbaraan aaj tak

aise guzre hain ahl-e-nazar raah se jin ke qadmon se zarre munavvar hue
aur aise munavvar jinhen dekh kar rashk karti rahi kahkashaan aaj tak

kaarvaanon ke rahbar ne raahzan phir bhi manzil pe kuch raah-rau aa gaye
vo naye kaarvaanon ke rahbar bane jin se hai azmat-e-rehbaraan aaj tak

mushkilein aafatein haadse saanehe aaye akhtar meri raah mein kis qadar
mujh ko aage badhaata raha hai magar mera dil mera azm-e-javaan aaj tak

ज़ुल्म सहते रहे शुक्र करते रहे आई लब तक न ये दास्ताँ आज तक
मुझ को हैरत रही अंजुमन में तिरी क्यूँ हैं ख़ामोश अहल-ए-ज़बाँ आज तक

इश्क़ महव-ए-ग़म-ए-ज़िंदगी हो गया हुस्न मदहोश-ए-इशवा-तराज़ी रहा
अहल-ए-दिल होश में आ चुके हैं मगर है वही आलम-ए-दिलबराँ आज तक

ऐसे गुज़रे हैं अहल-ए-नज़र राह से जिन के क़दमों से ज़र्रे मुनव्वर हुए
और ऐसे मुनव्वर जिन्हें देख कर रश्क करती रही कहकशाँ आज तक

कारवानों के रहबर ने राहज़न फिर भी मंज़िल पे कुछ राह-रौ आ गए
वो नए कारवानों के रहबर बने जिन से है अज़्मत-ए-रहबराँ आज तक

मुश्किलें आफ़तें हादसे सानेहे आए 'अख़्तर' मिरी राह में किस क़दर
मुझ को आगे बढ़ाता रहा है मगर मेरा दिल मेरा अज़्म-ए-जवाँ आज तक

- Akhtar Ansari Akbarabadi
0 Likes

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari Akbarabadi

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari