nadeem baagh mein josh-e-numoo ki baat na kar | नदीम बाग़ में जोश-ए-नुमू की बात न कर - Akhtar Ansari Akbarabadi

nadeem baagh mein josh-e-numoo ki baat na kar
bahaar aa to gai rang-o-boo ki baat na kar

ajeeb bhool-bhulayyaan hai shaahraah-e-hayaat
bhatkne waale yahan justuju ki baat na kar

tabaah kar na mazaq-e-junoon ki khuddaari
dil-e-tabah kisi tund-khoo ki baat na kar

khud apne tarz-e-amal ko sanwaar aur sanwaar
mere rafeeq tareeq-e-adu ki baat na kar

gurez-e-husn ko andaaz-e-husn kahte hain
nazar se dekh magar khoob-roo ki baat na kar

ye barq-e-husn jalaati to hai magar naaseh
vo aur shay hai mere sho'la-khoo ki baat na kar

ye may-kade ki fazaa kah rahi hai ai akhtar
ki tishnagi mein bhi jaam-o-suboo ki baat na kar

नदीम बाग़ में जोश-ए-नुमू की बात न कर
बहार आ तो गई रंग-ओ-बू की बात न कर

अजीब भूल-भुलय्याँ है शाहराह-ए-हयात
भटकने वाले यहाँ जुस्तुजू की बात न कर

तबाह कर न मज़ाक़-ए-जुनूँ की ख़ुद्दारी
दिल-ए-तबाह किसी तुंद-ख़ू की बात न कर

ख़ुद अपने तर्ज़-ए-अमल को सँवार और सँवार
मिरे रफ़ीक़ तरीक़-ए-अदू की बात न कर

गुरेज़-ए-हुस्न को अंदाज़-ए-हुस्न कहते हैं
नज़र से देख मगर ख़ूब-रू की बात न कर

ये बर्क़-ए-हुस्न जलाती तो है मगर नासेह
वो और शय है मिरे शो'ला-ख़ू की बात न कर

ये मय-कदे की फ़ज़ा कह रही है ऐ 'अख़्तर'
कि तिश्नगी में भी जाम-ओ-सुबू की बात न कर

- Akhtar Ansari Akbarabadi
0 Likes

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari Akbarabadi

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari