yaaron ke ikhlaas se pehle dil ka mere ye haal na tha | यारों के इख़्लास से पहले दिल का मिरे ये हाल न था - Akhtar Ansari Akbarabadi

yaaron ke ikhlaas se pehle dil ka mere ye haal na tha
ab vo chaknachoor pada hai jis sheeshe mein baal na tha

insaan aa kar nayi dagar par kho baitha hai hosh-o-hawas
pehle bhi behosh tha lekin aisa bhi bad-haal na tha

gulshan gulshan veeraani hai jungle jungle sannaata
haaye vo din jab har manzil mein shorish-e-gham ka kaal na tha

kyun re deewane shehar yahi hai ik ik pal bhari hai jahaan
apne veeraane mein ai dil jee ka ye janjaal na tha

hum jo lute us shehar mein ja kar dukh logon ko kyun pahuncha
apni nazar thi apna dil tha koi paraaya maal na tha

teri khaak pe raushan raushan akhtar jaise sitaare the
tujh sa ai mehraan ki waadi koi buland-iqbaal na tha

यारों के इख़्लास से पहले दिल का मिरे ये हाल न था
अब वो चकनाचूर पड़ा है जिस शीशे में बाल न था

इंसाँ आ कर नई डगर पर खो बैठा है होश-ओ-हवास
पहले भी बेहोश था लेकिन ऐसा भी बद-हाल न था

गुलशन गुलशन वीरानी है जंगल जंगल सन्नाटा
हाए वो दिन जब हर मंज़िल में शोरिश-ए-ग़म का काल न था

क्यूँ रे दिवाने शहर यही है इक इक पल भारी है जहाँ
अपने वीराने में ऐ दिल जी का ये जंजाल न था

हम जो लुटे उस शहर में जा कर दुख लोगों को क्यूँ पहुँचा
अपनी नज़र थी अपना दिल था कोई पराया माल न था

तेरी ख़ाक पे रौशन रौशन 'अख़्तर' जैसे सितारे थे
तुझ सा ऐ महरान की वादी कोई बुलंद-इक़बाल न था

- Akhtar Ansari Akbarabadi
0 Likes

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari Akbarabadi

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari