door tak raushni hai ghaur se dekh | दूर तक रौशनी है ग़ौर से देख - Akhtar Ansari Akbarabadi

door tak raushni hai ghaur se dekh
maut bhi zindagi hai ghaur se dekh

un charaagon ke ba'ad ai duniya
kis qadar teergi hai ghaur se dekh

rahnumaaon ka jazba-e-eisaar
ye bhi ik rahzani hai ghaur se dekh

dushmani ko bura na kah ai dost
dekh kya dosti hai ghaur se dekh

tark-e-tadbeer-o-justujoo ke ba'ad
zindagi zindagi hai ghaur se dekh

gar ye shabnam ka rang laaya hai
har taraf taazgi hai ghaur se dekh

hain tahayyur mein vo bhi ai akhtar
kya tiri shaay'ri hai ghaur se dekh

दूर तक रौशनी है ग़ौर से देख
मौत भी ज़िंदगी है ग़ौर से देख

उन चराग़ों के बा'द ऐ दुनिया
किस क़दर तीरगी है ग़ौर से देख

रहनुमाओं का जज़्बा-ए-ईसार
ये भी इक रहज़नी है ग़ौर से देख

दुश्मनी को बुरा न कह ऐ दोस्त
देख क्या दोस्ती है ग़ौर से देख

तर्क-ए-तदबीर-ओ-जुस्तुजू के बा'द
ज़िंदगी ज़िंदगी है ग़ौर से देख

गर ये शबनम का रंग लाया है
हर तरफ़ ताज़गी है ग़ौर से देख

हैं तहय्युर में वो भी ऐ 'अख़्तर'
क्या तिरी शाइ'री है ग़ौर से देख

- Akhtar Ansari Akbarabadi
0 Likes

Death Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari Akbarabadi

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Death Shayari Shayari