shanaasaai | "शनासाई"

  - Akhtar Payami

shanaasaai

raat ke haath pe jaltee hui ik sham-e-wafa
apna haq maangti hai
door khwaabon ke jazeera mein
kisi rozan se
subh ki ek kiran jhaankti hai
vo kiran darpa-e-azaar hui jaati hai
meri gham-khwaar hui jaati hai
aao kirnon ko andheron ka kafan pahnaaye
ik chamakta hua suraj sar-e-maqtal laayein
tum mere paas raho
aur yahi baat kaho
aaj bhi harf-e-wafaa bais-e-ruswaai hai
apne qaateel se meri khoob shanaasaai hai

"शनासाई"

रात के हाथ पे जलती हुई इक शम-ए-वफ़ा
अपना हक़ माँगती है
दूर ख़्वाबों के जज़ीरे में
किसी रौज़न से
सुब्ह की एक किरन झाँकती है
वो किरन दरपा-ए-आज़ार हुई जाती है
मेरी ग़म-ख़्वार हुई जाती है
आओ किरनों को अंधेरों का कफ़न पहनाएँ
इक चमकता हुआ सूरज सर-ए-मक़्तल लाएँ
तुम मिरे पास रहो
और यही बात कहो
आज भी हर्फ़-ए-वफ़ा बाइस-ए-रुस्वाई है
अपने क़ातिल से मिरी ख़ूब शनासाई है

  - Akhtar Payami

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Payami

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari