guncha guncha hans raha tha patee patti ro gaya
phool waalon ki gali mein gul tamasha ho gaya
ham ne dekheen dhoop ki sadkon pe jis ki vahshatein
raat ke seene se lag kar aakhirsh vo so gaya
aasmaan ke rozanon se laut aata tha kabhi
vo kabootar ik haveli ke chajon mein kho gaya
ik gali ke noor ne tareek kitne ghar kiye
vo na lautaa shakhs beena aankhen le kar jo gaya
ग़ुंचा ग़ुंचा हँस रहा था, पती पत्ती रो गया
फूल वालों की गली में गुल तमाशा हो गया
हम ने देखीं धूप की सड़कों पे जिस की वहशतें
रात के सीने से लग कर आख़िरश वो सो गया
आसमाँ के रौज़नों से लौट आता था कभी
वो कबूतर इक हवेली के छजों में खो गया
इक गली के नूर ने तारीक कितने घर किए
वो न लौटा शख़्स बीना आँखें ले कर जो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Natiq
our suggestion based on Ali Akbar Natiq
As you were reading Taareef Shayari Shayari