ghantiyaan bajne se pehle shaam hone ke qareeb
chhod jaata main tira gaav magar mere naseeb
dhoop phaili to kaha deewaar ne jhuk kar mujhe
mil gale mere musaafir mere saaye ke habeeb
laut aaye hain shafaq se log be-neel-e-muraam
rang palkon se utha laaye magar tere najeeb
main vo pardesi nahin jis ka na ho pursaan koi
sabz baagon ke parinde mere vatanon ke naqeeb
घंटियाँ बजने से पहले शाम होने के क़रीब
छोड़ जाता मैं तिरा गाँव मगर मेरे नसीब
धूप फैली तो कहा दीवार ने झुक कर मुझे
मिल गले मेरे मुसाफ़िर, मेरे साए के हबीब
लौट आए हैं शफ़क़ से लोग बे-नील-ए-मुराम
रंग पलकों से उठा लाए मगर तेरे नजीब
मैं वो परदेसी नहीं जिस का न हो पुरसाँ कोई
सब्ज़ बाग़ों के परिंदे मेरे वतनों के नक़ीब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Natiq
our suggestion based on Ali Akbar Natiq
As you were reading Festive Shayari Shayari