kase kajaave mahmilon ke aur jaaga raat ka taara bhi | कसे कजावे महमिलों के और जागा रात का तारा भी

  - Ali Akbar Natiq

kase kajaave mahmilon ke aur jaaga raat ka taara bhi
chhod di basti naaqon ne khaamosh hua naqqaara bhi

chaand si aankhen khel rahi theen surkh pahaad ki oton se
poorab or se taak raha tha uth kar abr ka paara bhi

qafile gard-e-safar mein doobe ghantiyon ki awaaz ghuti
aakhiri oont ki pusht pe daala raat ne siyaah gharaara bhi

shehar ke chauk mein veeraani hai aag bujhi andher hua
raakh saroon mein daal ke baithe aaj tire aawaara bhi

koi na rasta naap saka hai ret pe chalne waalon ka
agle qadam par mit jaayega pehla naqsh hamaara bhi

कसे कजावे महमिलों के और जागा रात का तारा भी
छोड़ दी बस्ती नाक़ों ने ख़ामोश हुआ नक़्क़ारा भी

चाँद सी आँखें खेल रही थीं सुर्ख़ पहाड़ की ओटों से
पूरब ओर से ताक रहा था उठ कर अब्र का पारा भी

क़ाफ़िले गर्द-ए-सफ़र में डूबे, घंटियों की आवाज़ घुटी
आख़िरी ऊँट की पुश्त पे डाला रात ने सियाह ग़रारा भी

शहर के चौक में वीरानी है आग बुझी, अंधेर हुआ
राख सरों में डाल के बैठे, आज तिरे आवारा भी

कोई न रस्ता नाप सका है, रेत पे चलने वालों का
अगले क़दम पर मिट जाएगा पहला नक़्श हमारा भी

  - Ali Akbar Natiq

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Akbar Natiq

As you were reading Shayari by Ali Akbar Natiq

Similar Writers

our suggestion based on Ali Akbar Natiq

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari