din ka samay hai chauk kuein ka aur baankon ke jaal | दिन का समय है, चौक कुएँ का और बाँकों के जाल

  - Ali Akbar Natiq

din ka samay hai chauk kuein ka aur baankon ke jaal
aise mein naari tu ne chali phir teetri waali chaal

jamunon waale des ke ladke tedhe un ke taur
pankh tatolen tootiyon ke vo phir kar har har daal

vo shakhs amar hai jo peewega do chaandon ke noor
us ki aankhen sada gulaabi jo dekhe ik laal

shaam ki thandi rut ne bhare hain aab-e-hayaat se nain
mongron waale baagh ne odhi gahri kaasni shaal

दिन का समय है, चौक कुएँ का और बाँकों के जाल
ऐसे में नारी तू ने चली फिर तीतरी वाली चाल

जामुनों वाले देस के लड़के, टेढ़े उन के तौर
पँख टटोलें तूतियों के वो, फिर कर हर हर डाल

वो शख़्स अमर है, जो पीवेगा दो चाँदों के नूर
उस की आँखें सदा गुलाबी जो देखे इक लाल

शाम की ठंडी रुत ने भरे हैं आब-ए-हयात से नैन
मोंगरों वाले बाग़ ने ओढ़ी गहरी कासनी शाल

  - Ali Akbar Natiq

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Akbar Natiq

As you were reading Shayari by Ali Akbar Natiq

Similar Writers

our suggestion based on Ali Akbar Natiq

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari