azal ke qissa-go ne dil ki jo utaari dastaan | अज़ल के क़िस्सा-गो ने दिल की जो उतारी दास्ताँ

  - Ali Akbar Natiq

azal ke qissa-go ne dil ki jo utaari dastaan
kahi kahi se us ne to bahut sanwaari dastaan

hua se jo sairbeen purane mausamon ki hai
suna suna ke thak gai meri tumhaari dastaan

kisi ka saaya rah gaya gali ke ain mod par
usi habeeb saaye se bani hamaari dastaan

meri jabeen pe saanehaat ne likhi hain arziyaan
ye arziyaan hain hasraton ki ek bhari dastaan

dil-e-kharaab-o-khasta par nazar na tu ne ki bahaal
ki us makaan ki tere gosh sau guzaari dastaan

अज़ल के क़िस्सा-गो ने दिल की जो उतारी दास्ताँ
कहीं कहीं से उस ने तो बहुत सँवारी दास्ताँ

हुआ से जो सैरबीं पुराने मौसमों की है
सुना सुना के थक गई मिरी तुम्हारी दास्ताँ

किसी का साया रह गया गली के ऐन मोड़ पर
उसी हबीब साए से बनी हमारी दास्ताँ

मिरी जबीं पे सानेहात ने लिखी हैं अर्ज़ियाँ
ये अर्ज़ियाँ हैं हसरतों की एक भारी दास्ताँ

दिल-ए-ख़राब-ओ-ख़स्ता पर नज़र न तू ने की बहाल
कि उस मकाँ की तेरे गोश सौ गुज़ारी दास्ताँ

  - Ali Akbar Natiq

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Akbar Natiq

As you were reading Shayari by Ali Akbar Natiq

Similar Writers

our suggestion based on Ali Akbar Natiq

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari