hawa ke takht par agar tamaam umr tu raha | हवा के तख़्त पर अगर तमाम उम्र तू रहा

  - Ali Akbar Natiq

hawa ke takht par agar tamaam umr tu raha
mujhe khabar na ho saki p saath saath main bhi tha

chamakte noor ke dinon mein tere aastaan se door
vo main ki aftaab ki safed shaakh par khila

hijaab aa gaya tha mujh ko dil ke iztiraab par
yahi sabab hai tere dar pe laut kar na aa saka

vo kis makaan ki dhoop thi gali gali mein bhar gai
vo kaun sabza-rukh tha jo ki mom sa pighal gaya

kabhi to chal ke dekho saaye peepalon ke des ke
jahaan ladkapnaa hamaare haath se juda hua

हवा के तख़्त पर अगर तमाम उम्र तू रहा
मुझे ख़बर न हो सकी प साथ साथ मैं भी था

चमकते नूर के दिनों में तेरे आस्ताँ से दूर
वो मैं कि आफ़्ताब की सफ़ेद शाख़ पर खिला

हिजाब आ गया था मुझ को दिल के इज़्तिराब पर
यही सबब है तेरे दर पे लौट कर न आ सका

वो किस मकाँ की धूप थी, गली गली में भर गई
वो कौन सब्ज़ा-रुख़ था जो कि मोम सा पिघल गया

कभी तो चल के देखो साए पीपलों के देस के
जहाँ लड़कपना हमारे हाथ से जुदा हुआ

  - Ali Akbar Natiq

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Akbar Natiq

As you were reading Shayari by Ali Akbar Natiq

Similar Writers

our suggestion based on Ali Akbar Natiq

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari