chaandi waale sheeshe waale aankhon waale shehar mein
kho gaya ik shakhs mujh se dekhe-bhaale shehar mein
mandiron ke sehan mein sadiyon puraani ghantiyaan
deviyon ke husn ke kohna hawaale shehar mein
sard raaton ki hawa mein udte patton ke maseel
kaun tere shab-navardon ko sambhaale shehar mein
kaanch ki shaakhon pe latke teri vehshat ke samar
teri vehshat ke samar bhi ham ne pale shehar mein
dil ke resho se ridaa-e-noor bunte mit gaye
shab ki faslon mein nahin aasaan ujaale shehar mein
चाँदी वाले, शीशे वाले, आँखों वाले शहर में
खो गया इक शख़्स मुझ से, देखे-भाले शहर में
मंदिरों के सेहन में सदियों पुरानी घंटियाँ
देवियों के हुस्न के कोहना हवाले शहर में
सर्द रातों की हवा में उड़ते पत्तों के मसील
कौन तेरे शब-नवर्दों को सँभाले शहर में
काँच की शाख़ों पे लटके तेरी वहशत के समर
तेरी वहशत के समर भी हम ने पाले शहर में
दिल के रेशों से रिदा-ए-नूर बुनते मिट गए
शब की फ़सलों में नहीं आसाँ उजाले शहर में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Natiq
our suggestion based on Ali Akbar Natiq
As you were reading Chehra Shayari Shayari