qaid-khaane ki hawa mein shor hai aalaam ka
bhed khulta kyun nahin ai dil tire aaraam ka
fakhtaayein bolti hain baajaron ke des mein
tu bhi sun le aasmaan ye geet mere naam ka
thande paani ke gagan mein saathviin ka chaand hai
ya gira hai barf mein kingraa tumhaare baam ka
kooktaa firta hai koi dhoop ki galiyon mein shakhs
sun liya hai us ne shaayad haal meri shaam ka
क़ैद-ख़ाने की हवा में शोर है आलाम का
भेद खुलता क्यूँ नहीं ऐ दिल तिरे आराम का
फ़ाख़ताएँ बोलती हैं बाजरों के देस में
तू भी सुन ले आसमाँ ये गीत मेरे नाम का
ठंडे पानी के गगन में सातवीं का चाँद है
या गिरा है बर्फ़ में किंगरा तुम्हारे बाम का
कूकता फिरता है कोई धूप की गलियों में शख़्स
सुन लिया है उस ने शायद हाल मेरी शाम का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Natiq
our suggestion based on Ali Akbar Natiq
As you were reading Environment Shayari Shayari