baad-e-sehra ko rah-e-sheher pe daala kis ne | बाद-ए-सहरा को रह-ए-शहर पे डाला किस ने

  - Ali Akbar Natiq

baad-e-sehra ko rah-e-sheher pe daala kis ne
taar-e-vahshat ko garebaan se nikala kis ne

mukhtasar baat thi phaili kyun saba ki maanind
dard-mandon ka fasana tha uchhaala kis ne

bastiyon waale to khud odh ke patte soye
dil-e-aawaara tujhe raat sambhaala kis ne

aag phoolon ki talab mein thi hawaon pe ruki
nazr-e-jaan kis ki hui raah se taala kis ne

kaanch ki raah pe ik rasm-e-safar thi mujh se
b'ad mere buna har gaam pe jaalaa kis ne

बाद-ए-सहरा को रह-ए-शहर पे डाला किस ने
तार-ए-वहशत को गरेबाँ से निकाला किस ने

मुख़्तसर बात थी, फैली क्यूँ सबा की मानिंद
दर्द-मंदों का फ़साना था, उछाला किस ने

बस्तियों वाले तो ख़ुद ओढ़ के पत्ते, सोए
दिल-ए-आवारा तुझे रात सँभाला किस ने

आग फूलों की तलब में थी, हवाओं पे रुकी
नज़्र-ए-जाँ किस की हुई, राह से टाला किस ने

काँच की राह पे इक रस्म-ए-सफ़र थी मुझ से
ब'अद मेरे बुना हर गाम पे जाला किस ने

  - Ali Akbar Natiq

Romance Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Akbar Natiq

As you were reading Shayari by Ali Akbar Natiq

Similar Writers

our suggestion based on Ali Akbar Natiq

Similar Moods

As you were reading Romance Shayari Shayari