jab tujhe milne ki tadbeer nayi hoti hai
soorat-e-gardish-e-taqdeer nayi hoti hai
munhdim hota hoon har aan pas-e-harf-e-kuhan
tab kahi she'r ki ta'beer nayi hoti hai
kaise lautaa main tire dast-e-zamaana-gar mein
tere choone se to tasveer nayi hoti hai
waqt de jaaye jise yaad puraani koi
roz us harf ki taaseer nayi hoti hai
ik ajab kaif mein chalta hoon sar-e-dasht-e-bala
jab mere paanv mein zanjeer nayi hoti hai
ham badalte nahin armaan kabhi jaah-o-hashm
haan isee khwaab ki ta'beer nayi hoti hai
जब तुझे मिलने की तदबीर नई होती है
सूरत-ए-गर्दिश-ए-तक़दीर नई होती है
मुंहदिम होता हूँ हर आन पस-ए-हर्फ़-ए-कुहन
तब कहीं शे'र की ता'बीर नई होती है
कैसे लौटा मैं तिरे दस्त-ए-ज़माना-गर में
तेरे छूने से तो तस्वीर नई होती है
वक़्त दे जाए जिसे याद पुरानी कोई
रोज़ उस हर्फ़ की तासीर नई होती है
इक अजब कैफ़ में चलता हूँ सर-ए-दश्त-ए-बला
जब मिरे पाँव में ज़ंजीर नई होती है
हम बदलते नहीं 'अरमान' कभी जाह-ओ-हशम
हाँ इसी ख़्वाब की ता'बीर नई होती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Arman
our suggestion based on Ali Arman
As you were reading Fantasy Shayari Shayari