chaman mein vo faraamoshi ka mausam tha main khud ko bhi | चमन में वो फ़रामोशी का मौसम था मैं ख़ुद को भी

  - Ali Iftikhar Jafri

chaman mein vo faraamoshi ka mausam tha main khud ko bhi
zameen par barg-e-aawara nazar aaya to yaad aaya

abhi ik nisbat-e-daar-o-rasan ka qarz baaki hai
faraaz jaah o mansab se utar aaya to yaad aaya

bhulaaya gardish-e-ayyaam ne dast-e-pidar yun to
magar jab mod koi pur-khatr aaya to yaad aaya

kisi ki aankh ka taara hua karte the ham bhi to
achaanak shaam ka taara nazar aaya to yaad aaya

bhara bazaar tha kuchh jins-e-jaan ke daam lag jaate
shahaadat-gaah-e-duniya se guzar aaya to yaad aaya

चमन में वो फ़रामोशी का मौसम था मैं ख़ुद को भी
ज़मीं पर बर्ग-ए-आवारा नज़र आया तो याद आया

अभी इक निस्बत-ए-दार-ओ-रसन का क़र्ज़ बाक़ी है
फ़राज़ जाह ओ मंसब से उतर आया तो याद आया

भुलाया गर्दिश-ए-अय्याम ने दस्त-ए-पिदर यूँ तो
मगर जब मोड़ कोई पुर-ख़तर आया तो याद आया

किसी की आँख का तारा हुआ करते थे हम भी तो
अचानक शाम का तारा नज़र आया तो याद आया

भरा बाज़ार था कुछ जिंस-ए-जाँ के दाम लग जाते
शहादत-गाह-ए-दुनिया से गुज़र आया तो याद आया

  - Ali Iftikhar Jafri

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Iftikhar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Iftikhar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Iftikhar Jafri

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari