rang-e-mahfil se fuzoon-tar meri hairaani hai
pairhan bais-e-izzat hai na uryaani hai
neend aati hai magar jaag raha hoon sar-e-khwaab
aankh lagti hai to ye umr guzar jaani hai
aur kya hai tiri duniya mein sivaa-e-man-o-tu
minnat-e-ghair ki zillat hai jahaanbaani hai
choom lo us ko isee aalam-e-madahoshi mein
aakhir-e-khwaab wahi be-sar-o-saamaani hai
apne saamaan mein tasaaveer-e-butaan hain ye khutoot
kuchh lakeeren hain kaf-e-dast hai peshaani hai
रंग-ए-महफ़िल से फ़ुज़ूँ-तर मिरी हैरानी है
पैरहन बाइस-ए-इज़्ज़त है न उर्यानी है
नींद आती है मगर जाग रहा हूँ सर-ए-ख़्वाब
आँख लगती है तो ये उम्र गुज़र जानी है
और क्या है तिरी दुनिया में सिवा-ए-मन-ओ-तू
मिन्नत-ए-ग़ैर की ज़िल्लत है जहाँबानी है
चूम लो उस को इसी आलम-ए-मदहोशी में
आख़िर-ए-ख़्वाब वही बे-सर-ओ-सामानी है
अपने सामाँ में तसावीर-ए-बुताँ हैं ये ख़ुतूत
कुछ लकीरें हैं कफ़-ए-दस्त है पेशानी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Iftikhar Jafri
our suggestion based on Ali Iftikhar Jafri
As you were reading Budhapa Shayari Shayari