sar bache ya na bache turra-e-dastaar gaya
shaah-e-kaj-fahm ko shauq-e-do-sari maar gaya
ab kisi aur kharaabe mein sada dega faqeer
yaa to awaaz lagana mera bekar gaya
sarkasho shukr karo jaa-e-shikaayat nahin daar
sar gaya baar gaya taana-e-aghyaar gaya
avvaleen chaal se aage nahin socha main ne
zeest shatranj ki baazi thi so main haar gaya
sad ayyaam pe patkhe hai deewana sar ko
jis ko chaaha ki na jaaye wahi is baar gaya
सर बचे या न बचे तुर्रा-ए-दस्तार गया
शाह-ए-कज-फ़हम को शौक़-ए-दो-सरी मार गया
अब किसी और ख़राबे में सदा देगा फ़क़ीर
याँ तो आवाज़ लगाना मिरा बेकार गया
सरकशो शुक्र करो जा-ए-शिकायत नहीं दार
सर गया बार गया ताना-ए-अग़्यार गया
अव्वलीं चाल से आगे नहीं सोचा मैं ने
ज़ीस्त शतरंज की बाज़ी थी सो मैं हार गया
सद अय्याम पे पटख़े है दिवाना सर को
जिस को चाहा कि न जाए वही इस बार गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Iftikhar Jafri
our suggestion based on Ali Iftikhar Jafri
As you were reading Awaaz Shayari Shayari