bar-sar-e-baad hua apna thikaana sar-e-raah
kaam aaya mera awaaz lagana sar-e-raah
dosto fart-e-junoon raah badalta hai meri
kis ne chaaha tha tumhein chhod ke jaana sar-e-raah
dil mulaqaat ka khwaahan ho to khaak udti hai
bach ke chalta hoon to milta hai zamaana sar-e-raah
ye jo mitti tan-e-baaqi ki liye firta hoon
chhod jaaunga kahi ye bhi khazana sar-e-raah
tum kisi sang pe ab sar ko tika kar so jaao
kaun sunta hai shab-e-gham ka fasana sar-e-raah
rah-e-duniya mein theharna to nahin tha dil ko
mil gaya hoga koi khwaab puraana sar-e-raah
बर-सर-ए-बाद हुआ अपना ठिकाना सर-ए-राह
काम आया मिरा आवाज़ लगाना सर-ए-राह
दोस्तो फ़र्त-ए-जुनूँ राह बदलता है मिरी
किस ने चाहा था तुम्हें छोड़ के जाना सर-ए-राह
दिल मुलाक़ात का ख़्वाहाँ हो तो ख़ाक उड़ती है
बच के चलता हूँ तो मिलता है ज़माना सर-ए-राह
ये जो मिट्टी तन-ए-बाक़ी की लिए फिरता हूँ
छोड़ जाऊँगा कहीं ये भी ख़ज़ाना सर-ए-राह
तुम किसी संग पे अब सर को टिका कर सो जाओ
कौन सुनता है शब-ए-ग़म का फ़साना सर-ए-राह
रह-ए-दुनिया में ठहरना तो नहीं था दिल को
मिल गया होगा कोई ख़्वाब पुराना सर-ए-राह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Iftikhar Jafri
our suggestion based on Ali Iftikhar Jafri
As you were reading Visaal Shayari Shayari