kam-zarf ehtiyaat ki manzil se aaye hain | कम-ज़र्फ़ एहतियात की मंज़िल से आए हैं

  - Ali Jawwad Zaidi

kam-zarf ehtiyaat ki manzil se aaye hain
ham zindagi ke jaada-e-mushkil se aaye hain

girdaab mahv-e-raqs hai toofaan mahw-e-josh
kuchh log shauq-e-mauj mein saahil se aaye hain

ye waz-e-zabt-e-shauq ki dil jal bujha magar
shikwe zabaan pe aaj bhi mushkil se aaye hain

aankhon ka soz dil ki kasak to nai mili
maana ki aap bhi usi mehfil se aaye hain

ye qashqa-e-khuloos hai zakham-e-jabeen nahin
har chand ham bhi koocha-e-qaatil se aaye hain

dil ka lahu nigaah se tapka hai baar-ha
ham raah-e-gham mein aisi bhi manzil se aaye hain

dil ik udaas subh nazar ik udaas shaam
kaise kahein ki dost ki mehfil se aaye hain

chheda tha nok-e-khaar ne lekin gumaan hua
taaza payaam parda-e-mehmil se aaye hain

haan gaaye ja mughanni-e-bazm-e-tarab ki aaj
nagme tiri zabaan pe mere dil se aaye hain

कम-ज़र्फ़ एहतियात की मंज़िल से आए हैं
हम ज़िंदगी के जादा-ए-मुश्किल से आए हैं

गिर्दाब महव-ए-रक़्स है तूफ़ान महव-ए-जोश
कुछ लोग शौक़-ए-मौज में साहिल से आए हैं

ये वज़-ए-ज़ब्त-ए-शौक़ कि दिल जल बुझा मगर
शिकवे ज़बाँ पे आज भी मुश्किल से आए हैं

आँखों का सोज़ दिल की कसक तो नईं मिली
माना कि आप भी उसी महफ़िल से आए हैं

ये क़श्क़ा-ए-ख़ुलूस है ज़ख़्म-ए-जबीं नहीं
हर चंद हम भी कूचा-ए-क़ातिल से आए हैं

दिल का लहू निगाह से टपका है बार-हा
हम राह-ए-ग़म में ऐसी भी मंज़िल से आए हैं

दिल इक उदास सुब्ह नज़र इक उदास शाम
कैसे कहें कि दोस्त की महफ़िल से आए हैं

छेड़ा था नोक-ए-ख़ार ने लेकिन गुमाँ हुआ
ताज़ा पयाम पर्दा-ए-महमिल से आए हैं

हाँ गाए जा मुग़न्नी-ए-बज़्म-ए-तरब कि आज
नग़्मे तिरी ज़बाँ पे मिरे दिल से आए हैं

  - Ali Jawwad Zaidi

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari