sitaaron ke payaam aaye bahaaron ke salaam aaye | सितारों के पयाम आए बहारों के सलाम आए

  - Ali Sardar Jafri

sitaaron ke payaam aaye bahaaron ke salaam aaye
hazaaron naama-ha-e-shauq ahl-e-dil ke kaam aaye

na jaane kitni nazrein us dil-e-wahshi pe padti hain
har ik ko fikr hai us ki ye shaheen zer-e-daam aaye

isee ummeed mein betaabi-e-jaan badhti jaati hai
sukoon-e-dil jahaan mumkin ho shaayad vo maqaam aaye

hamaari tishnagi bujhti nahin shabnam ke qatron se
jise saaqi-gari ki sharm ho aatish-b-jaam aaye

koi shaayad hamaare daag-e-dil ki tarah raushan ho
hazaaron aftaab is shauq mein bala-e-baam aaye

inhen raahon mein shaikh-o-muhtasib haa'il rahe akshar
inhen raahon mein hooraan-e-beheshti ke khayaam aaye

nigaahen muntazir hain ek khurshid-e-tamanna ki
abhi tak jitne mehr-o-maah aaye na-tamaam aaye

ye aalam lazzat-e-takhleeq ka hai raqs-e-laafaani
tasavvur-khaana-e-hairat mein laakhon subh-o-shaam aaye

koi sardaar kab tha is se pehle teri mehfil mein
bahut ahl-e-sukhan utthe bahut ahl-e-kalaam aaye

सितारों के पयाम आए बहारों के सलाम आए
हज़ारों नामा-हा-ए-शौक़ अहल-ए-दिल के काम आए

न जाने कितनी नज़रें उस दिल-ए-वहशी पे पड़ती हैं
हर इक को फ़िक्र है उस की ये शाहीं ज़ेर-ए-दाम आए

इसी उम्मीद में बेताबी-ए-जाँ बढ़ती जाती है
सुकून-ए-दिल जहाँ मुमकिन हो शायद वो मक़ाम आए

हमारी तिश्नगी बुझती नहीं शबनम के क़तरों से
जिसे साक़ी-गरी की शर्म हो आतिश-ब-जाम आए

कोई शायद हमारे दाग़-ए-दिल की तरह रौशन हो
हज़ारों आफ़्ताब इस शौक़ में बाला-ए-बाम आए

इन्हें राहों में शैख़-ओ-मुहतसिब हाइल रहे अक्सर
इन्हें राहों में हूरान-ए-बहिश्ती के ख़ियाम आए

निगाहें मुंतज़िर हैं एक ख़ुर्शीद-ए-तमन्ना की
अभी तक जितने मेहर-ओ-माह आए ना-तमाम आए

ये आलम लज़्ज़त-ए-तख़्लीक़ का है रक़्स-ए-लाफ़ानी
तसव्वुर-ख़ाना-ए-हैरत में लाखों सुब्ह-ओ-शाम आए

कोई 'सरदार' कब था इस से पहले तेरी महफ़िल में
बहुत अहल-ए-सुख़न उठ्ठे बहुत अहल-ए-कलाम आए

  - Ali Sardar Jafri

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari