ye bekas-o-beqaraar chehre | ये बेकस-ओ-बेक़रार चेहरे

  - Ali Sardar Jafri

ye bekas-o-beqaraar chehre
sadiyon ke ye sogwaar chehre

mitti mein pade damak rahe hain
heero ki tarah hazaar chehre

le ja ke inhen kahaan sajaayein
ye bhook ke shikaar chehre

afriqa-o-aashiyaa ki zeenat
ye naadir-e-rozgaar chehre

khoi hui azmaton ke waaris
kal raat ke yaadgaar chehre

ghaaze se safed may se rangeen
is daur ke daagdaar chehre

guzre hain nigaah-o-dil se ho kar
har tarah ke be-shumaar chehre

maghroor ana ke ghonsle mein
baithe hue kam-ayaar chehre

kaabil-e-iltifaat aankhen
naa-qaabil-e-e'tibaar chehre

in sab se haseen-tar hain lekin
rindon ke gunaahgaar chehre

ये बेकस-ओ-बेक़रार चेहरे
सदियों के ये सोगवार चेहरे

मिट्टी में पड़े दमक रहे हैं
हीरों की तरह हज़ार चेहरे

ले जा के इन्हें कहाँ सजाएँ
ये भूक के शिकार चेहरे

अफ़्रीक़ा-ओ-एशिया की ज़ीनत
ये नादिर-ए-रोज़गार चेहरे

खोई हुई अज़्मतों के वारिस
कल रात के यादगार चेहरे

ग़ाज़े से सफ़ेद मय से रंगीं
इस दौर के दाग़दार चेहरे

गुज़रे हैं निगाह-ओ-दिल से हो कर
हर तरह के बे-शुमार चेहरे

मग़रूर अना के घोंसले में
बैठे हुए कम-अयार चेहरे

काबिल-ए-इल्तिफ़ात आँखें
ना-क़ाबिल-ए-ए'तिबार चेहरे

इन सब से हसीन-तर हैं लेकिन
रिंदों के गुनाहगार चेहरे

  - Ali Sardar Jafri

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari