sukoot-e-shaam ka hissa tu mat bana mujh ko | सुकूत-ए-शाम का हिस्सा तू मत बना मुझ को

  - Ali Zaryoun

sukoot-e-shaam ka hissa tu mat bana mujh ko
main rang hoon so kisi mauj mein mila mujh ko

main in dinon tiri aankhon ke ikhtiyaar mein hoon
jamaal-e-sabz kisi tajarbe mein la mujh ko

main boodhe jism ki zillat utha nahin saka
kisi qadeem tajalli se kar naya mujh ko

main apne hone ki takmeel chahta hoon sakhi
so ab badan ki hiraasat se kar rihaa mujh ko

mujhe charaagh ki hairat bhi ho chuki maaloom
ab is se aage koi raasta bata mujh ko

us ism-e-khaas ki tarkeeb se bana hoon main
mohabbaton ke talaffuz se kar naya mujh ko

daroon-e-seena jise dil samajh raha tha ali
vo neeli aag hai ye ab pata chala mujh ko

सुकूत-ए-शाम का हिस्सा तू मत बना मुझ को
मैं रंग हूँ सो किसी मौज में मिला मुझ को

मैं इन दिनों तिरी आँखों के इख़्तियार में हूँ
जमाल-ए-सब्ज़ किसी तजरबे में ला मुझ को

मैं बूढे जिस्म की ज़िल्लत उठा नहीं सकता
किसी क़दीम तजल्ली से कर नया मुझ को

मैं अपने होने की तकमील चाहता हूँ सखी
सो अब बदन की हिरासत से कर रिहा मुझ को

मुझे चराग़ की हैरत भी हो चुकी मालूम
अब इस से आगे कोई रास्ता बता मुझ को

उस इस्म-ए-ख़ास की तरकीब से बना हूँ मैं
मोहब्बतों के तलफ़्फ़ुज़ से कर नया मुझ को

दरून-ए-सीना जिसे दिल समझ रहा था 'अली'
वो नीली आग है ये अब पता चला मुझ को

  - Ali Zaryoun

Rang Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Zaryoun

As you were reading Shayari by Ali Zaryoun

Similar Writers

our suggestion based on Ali Zaryoun

Similar Moods

As you were reading Rang Shayari Shayari