maslahat ka koi khuda hai yahan
kaam jo sab ke kar raha hai yahan
aur milta bhi kya faqeeron se
sirf ik hausla mila hai yahan
log mohtaath hain ravayyo mein
qurbaton mein bhi fasla hai yahan
aadatan poochne lage hain log
kya koi haadsa hua hai yahan
ilm to dafn ho chuka kab ka
kuchh kitaabon ka silsila hai yahan
raushni muntaqil nahin ki gai
bas diye se diya jala hai yahan
मस्लहत का कोई ख़ुदा है यहाँ
काम जो सब के कर रहा है यहाँ
और मिलता भी क्या फ़क़ीरों से
सिर्फ़ इक हौसला मिला है यहाँ
लोग मोहतात हैं रवय्यों में
क़ुर्बतों में भी फ़ासला है यहाँ
आदतन पूछने लगे हैं लोग
क्या कोई हादसा हुआ है यहाँ
इल्म तो दफ़्न हो चुका कब का
कुछ किताबों का सिलसिला है यहाँ
रौशनी मुंतक़िल नहीं की गई
बस दिए से दिया जला है यहाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Zubair
our suggestion based on Ali Zubair
As you were reading Faasla Shayari Shayari