kis tarah jaaun ki ye aaye hue raat mein hain
ye andhere nahin hain saaye meri ghaat mein hain
milta rehta hoon main un se to ye mil lete hain
yaar ab dil mein nahin rahte mulaqaat mein hain
ye to naakaam asaasa hai samundar ke paas
kuchh ghazbanaak si lahren mere jazbaat mein hain
ye dhuen mein jo nazar aate hain sarsabz yahan
ye makaan shehar mein ho kar bhi mazaafat mein hain
dil ka choona tha ki jazbaat hue patthar ke
aisa lagta hai ki ham shahr-e-tilismaat mein hain
main hi takraar hoon aur main hi mukarrar hoon yahan
waqt par chalte hue din meri auqaat mein hain
किस तरह जाऊँ कि ये आए हुए रात में हैं
ये अंधेरे नहीं हैं साए मिरी घात में हैं
मिलता रहता हूँ मैं उन से तो ये मिल लेते हैं
यार अब दिल में नहीं रहते मुलाक़ात में हैं
ये तो नाकाम असासा है समुंदर के पास
कुछ ग़ज़बनाक सी लहरें मिरे जज़्बात में हैं
ये धुएँ में जो नज़र आते हैं सरसब्ज़ यहाँ
ये मकाँ शहर में हो कर भी मज़ाफ़ात में हैं
दिल का छूना था कि जज़्बात हुए पत्थर के
ऐसा लगता है कि हम शहर-ए-तिलिस्मात में हैं
मैं ही तकरार हूँ और मैं ही मुकर्रर हूँ यहाँ
वक़्त पर चलते हुए दिन मिरी औक़ात में हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Zubair
our suggestion based on Ali Zubair
As you were reading Aankhein Shayari Shayari