aalam-e-aab-o-khaak-o-baad sirr-e-ayaan hai tu ki main | आलम-ए-आब-ओ-ख़ाक-ओ-बाद सिर्र-ए-अयाँ है तू कि मैं

  - Allama Iqbal

aalam-e-aab-o-khaak-o-baad sirr-e-ayaan hai tu ki main
vo jo nazar se hai nihaan us ka jahaan hai tu ki main

vo shab-e-dard-o-soz-o-gham kahte hain zindagi jise
us ki sehar hai tu ki main us ki azaan hai tu ki main

kis ki numood ke liye shaam o sehar hain garm-e-sair
shaana-e-rozgaar par baar-e-giraan hai tu ki main

tu kaf-e-khaak o be-basar main kaf-e-khaak o khud-nigar
kisht-e-vujood ke liye aab-e-ravaan hai tu ki main

आलम-ए-आब-ओ-ख़ाक-ओ-बाद सिर्र-ए-अयाँ है तू कि मैं
वो जो नज़र से है निहाँ उस का जहाँ है तू कि मैं

वो शब-ए-दर्द-ओ-सोज़-ओ-ग़म कहते हैं ज़िंदगी जिसे
उस की सहर है तू कि मैं उस की अज़ाँ है तू कि मैं

किस की नुमूद के लिए शाम ओ सहर हैं गर्म-ए-सैर
शाना-ए-रोज़गार पर बार-ए-गिराँ है तू कि मैं

तू कफ़-ए-ख़ाक ओ बे-बसर मैं कफ़-ए-ख़ाक ओ ख़ुद-निगर
किश्त-ए-वजूद के लिए आब-ए-रवाँ है तू कि मैं

  - Allama Iqbal

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari