khird ke paas khabar ke siva kuch aur nahin | ख़िरद के पास ख़बर के सिवा कुछ और नहीं - Allama Iqbal

khird ke paas khabar ke siva kuch aur nahin
tira ilaaj nazar ke siva kuch aur nahin

har ik maqaam se aage maqaam hai tera
hayaat zauq-e-safar ke siva kuch aur nahin

giraa-baha hai to hifz-e-khudi se hai warna
guhar mein aab-e-guhar ke siva kuch aur nahin

ragon mein gardish-e-khoon hai agar to kya haasil
hayaat soz-e-jigar ke siva kuch aur nahin

uroos-e-laala munaasib nahin hai mujh se hijaab
ki main naseem-e-sehr ke siva kuch aur nahin

jise kasaad samjhte hain taajiraan-e-farang
vo shay mata-e-hunar ke siva kuch aur nahin

bada kareem hai iqbaal'-e-be-nava lekin
ata-e-shola sharar ke siva kuch aur nahin

ख़िरद के पास ख़बर के सिवा कुछ और नहीं
तिरा इलाज नज़र के सिवा कुछ और नहीं

हर इक मक़ाम से आगे मक़ाम है तेरा
हयात ज़ौक़-ए-सफ़र के सिवा कुछ और नहीं

गिराँ-बहा है तो हिफ़्ज़-ए-ख़ुदी से है वर्ना
गुहर में आब-ए-गुहर के सिवा कुछ और नहीं

रगों में गर्दिश-ए-ख़ूँ है अगर तो क्या हासिल
हयात सोज़-ए-जिगर के सिवा कुछ और नहीं

उरूस-ए-लाला मुनासिब नहीं है मुझ से हिजाब
कि मैं नसीम-ए-सहर के सिवा कुछ और नहीं

जिसे कसाद समझते हैं ताजिरान-ए-फ़रंग
वो शय मता-ए-हुनर के सिवा कुछ और नहीं

बड़ा करीम है 'इक़बाल'-ए-बे-नवा लेकिन
अता-ए-शोला शरर के सिवा कुछ और नहीं

- Allama Iqbal
2 Likes

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari