anokhi waz'a hai saare zamaane se niraale hain | अनोखी वज़्अ है सारे ज़माने से निराले हैं

  - Allama Iqbal

anokhi waz'a hai saare zamaane se niraale hain
ye aashiq kaun si basti ke ya-rab rahne waale hain

ilaaj-e-dard mein bhi dard ki lazzat pe marta hoon
jo the chhaalon mein kaante nok-e-sozan se nikale hain

fala-foola rahe ya-rab chaman meri umeedon ka
jigar ka khoon de de kar ye boote main ne pale hain

rulaati hai mujhe raaton ko khaamoshi sitaaron ki
niraala ishq hai mera niraale mere naale hain

na poocho mujh se lazzat khaanmaan-barbaad rahne ki
nasheeman saikron main ne bana kar phoonk dale hain

nahin begaangi achhi rafeeq-e-raah-e-manzil se
thehar ja ai sharar ham bhi to aakhir mitne waale hain

umeed-e-hoor ne sab kuchh sikha rakha hai waiz ko
ye hazrat dekhne mein seedhe-saadhe bhole bhaale hain

mere ashaar ai iqbaal kyun pyaare na hon mujh ko
mere toote hue dil ke ye dard-angez naale hain

अनोखी वज़्अ है सारे ज़माने से निराले हैं
ये आशिक़ कौन सी बस्ती के या-रब रहने वाले हैं

इलाज-ए-दर्द में भी दर्द की लज़्ज़त पे मरता हूँ
जो थे छालों में काँटे नोक-ए-सोज़न से निकाले हैं

फला-फूला रहे या-रब चमन मेरी उमीदों का
जिगर का ख़ून दे दे कर ये बूटे मैं ने पाले हैं

रुलाती है मुझे रातों को ख़ामोशी सितारों की
निराला इश्क़ है मेरा निराले मेरे नाले हैं

न पूछो मुझ से लज़्ज़त ख़ानमाँ-बर्बाद रहने की
नशेमन सैकड़ों मैं ने बना कर फूँक डाले हैं

नहीं बेगानगी अच्छी रफ़ीक़-ए-राह-ए-मंज़िल से
ठहर जा ऐ शरर हम भी तो आख़िर मिटने वाले हैं

उमीद-ए-हूर ने सब कुछ सिखा रक्खा है वाइज़ को
ये हज़रत देखने में सीधे-साधे भोले भाले हैं

मिरे अशआर ऐ 'इक़बाल' क्यूँ प्यारे न हों मुझ को
मिरे टूटे हुए दिल के ये दर्द-अंगेज़ नाले हैं

  - Allama Iqbal

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari