us taraf bhi wahi siyaah ghubaar
ham ne dekha hai ja ke neend ke paar
kitna kuchh bolna pada tum ko
ek chhota sa lafz tha inkaar
khushk aankhon ki chup daraane lagi
dil madad kar meri kisi ko pukaar
tujh ko ai shakhs kuchh khabar bhi hai
kis kharaabe mein hai tira beemaar
phir ye dukh bhi to aasmaani hai
kya khafa hona is zameen se yaar
उस तरफ़ भी वही सियाह ग़ुबार
हम ने देखा है जा के नींद के पार
कितना कुछ बोलना पड़ा तुम को
एक छोटा सा लफ़्ज़ था इंकार
ख़ुश्क आँखों की चुप डराने लगी
दिल मदद कर मिरी किसी को पुकार
तुझ को ऐ शख़्स कुछ ख़बर भी है
किस ख़राबे में है तिरा बीमार
फिर ये दुख भी तो आसमानी है
क्या ख़फ़ा होना इस ज़मीन से यार
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alok Mishra
our suggestion based on Alok Mishra
As you were reading Charity Shayari Shayari