sawaalon mein khud bhi hai doobi udaasi | सवालों में ख़ुद भी है डूबी उदासी

  - Alok Mishra

sawaalon mein khud bhi hai doobi udaasi
kahi le na doobe mujhe bhi udaasi

shab-o-roz chalti hai pahluu se lag kar
gale pad gai ek ziddi udaasi

fazaao ki rangat nikharne lagi hai
hui shaam phir dil mein lauti udaasi

zara chaand kya aaya meri taraf ko
sitaaron ne jal-bhun ke odhi udaasi

shabistaan mein gham ki na shamaein jalao
kahi jaag jaaye na soi udaasi

zara der logon mein khul kar hasi phir
sar-e-bazm aankhon se tapki udaasi

use yaad thi kal ki taarikh shaayad
sisakti rahi le ke hichki udaasi

jamee thi mere sard seene mein kab se
tapish pa ke ashkon ki pighli udaasi

katartee hai dil ke shajar ki ye khushiyaan
tiri yaad hai ya gilhari udaasi

kabhi ham the jin ki duaon mein shaamil
unhin tak na pahunchee hamaari udaasi

tiri yaad ke ab nishaan tak nahin ham
magar dil mein rahti hai ab bhi udaasi

nigaahon mein hadd-e-nazar tak hai raksaan
udaasi udaasi udaasi udaasi

सवालों में ख़ुद भी है डूबी उदासी
कहीं ले न डूबे मुझे भी उदासी

शब-ओ-रोज़ चलती है पहलू से लग कर
गले पड़ गई एक ज़िद्दी उदासी

फ़ज़ाअों की रंगत निखरने लगी है
हुई शाम फिर दिल में लौटी उदासी

ज़रा चाँद क्या आया मेरी तरफ़ को
सितारों ने जल-भुन के ओढ़ी उदासी

शबिस्ताँ में ग़म की न शमएँ जलाओ
कहीं जाग जाए न सोई उदासी

ज़रा देर लोगों में खुल कर हँसी फिर
सर-ए-बज़्म आँखों से टपकी उदासी

उसे याद थी कल की तारीख़ शायद
सिसकती रही ले के हिचकी उदासी

जमी थी मिरे सर्द सीने में कब से
तपिश पा के अश्कों की पिघली उदासी

कतरती है दिल के शजर की ये ख़ुशियाँ
तिरी याद है या गिलहरी उदासी

कभी हम थे जिन की दुआओं में शामिल
उन्हीं तक न पहुँची हमारी उदासी

तिरी याद के अब निशाँ तक नहीं हम
मगर दिल में रहती है अब भी उदासी

निगाहों में हद्द-ए-नज़र तक है रक़्साँ
उदासी उदासी उदासी उदासी

  - Alok Mishra

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Alok Mishra

As you were reading Shayari by Alok Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Alok Mishra

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari