lutf aane laga bikharna mein
ek gham ko hazaar karne mein
bas zara sa fisal gaye the ham
ik bagule pe paanv dharne mein
kitni aankhon se bhar gai aankhen
tere khwaabon se phir guzarne mein
main ne socha madad karoge tum
kam-naseebi ke ghaav bharne mein
bujhte jaate hain mere log yahan
raushni ko bahaal karne mein
kis qadar haath ho gaya zakhmi
khud-kushi tere par katarne mein
लुत्फ़ आने लगा बिखरने में
एक ग़म को हज़ार करने में
बस ज़रा सा फिसल गए थे हम
इक बगूले पे पाँव धरने में
कितनी आँखों से भर गई आँखें
तेरे ख़्वाबों से फिर गुज़रने में
मैं ने सोचा मदद करोगे तुम
कम-नसीबी के घाव भरने में
बुझते जाते हैं मेरे लोग यहाँ
रौशनी को बहाल करने में
किस क़दर हाथ हो गया ज़ख़्मी
ख़ुद-कुशी तेरे पर कतरने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alok Mishra
our suggestion based on Alok Mishra
As you were reading Udasi Shayari Shayari