girte rahte hain phir sambhalte hain | गिरते रहते हैं फिर सँभलते हैं

  - Altaf Tanveer

girte rahte hain phir sambhalte hain
phir usi raaste pe chalte hain

jalte hain aag mein badan lekin
dil faqat ishq hi mein jalte hain

ek muddat se dil ke mandir mein
kuchh ummeedon ke deep jalte hain

rizq dena usi ki qudrat hai
pattharon mein bhi keede palte hain

mom ki tarah dil bhi patthar ke
waqt ki dhoop mein pighalte hain

sirf haalaat hi nahin pyaare
haan khayaalaat bhi badalte hain

koi khaamosh bhi rahe kitna
dil mein jazbaat to machalte hain

makr tanveer jis ka sheva hai
aisi duniya se door chalte hain

गिरते रहते हैं फिर सँभलते हैं
फिर उसी रास्ते पे चलते हैं

जलते हैं आग में बदन लेकिन
दिल फ़क़त इश्क़ ही में जलते हैं

एक मुद्दत से दिल के मंदिर में
कुछ उम्मीदों के दीप जलते हैं

रिज़्क़ देना उसी की क़ुदरत है
पत्थरों में भी कीड़े पलते हैं

मोम की तरह दिल भी पत्थर के
वक़्त की धूप में पिघलते हैं

सिर्फ़ हालात ही नहीं प्यारे
हाँ ख़यालात भी बदलते हैं

कोई ख़ामोश भी रहे कितना
दिल में जज़्बात तो मचलते हैं

मक्र तनवीर जिस का शेवा है
ऐसी दुनिया से दूर चलते हैं

  - Altaf Tanveer

Dhoop Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Tanveer

As you were reading Shayari by Altaf Tanveer

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Tanveer

Similar Moods

As you were reading Dhoop Shayari Shayari