lakeeron mein kahi ajdaad ka paisa nahin hota | लकीरों में कहीं अज्दाद का पैसा नहीं होता

  - Altaf Tanveer

lakeeron mein kahi ajdaad ka paisa nahin hota
ghareebon ka naseeba haath pe likha nahin hota

ye ahl-e-zar ghareebon ko kabhi jeene nahin dete
agarche us ne sab ko ek sa dekha nahin hota

ye kashkol-e-gadaai hai faqat ma'zoor ko zeba
kabhi mehnat-kashon ke haath mein qaasa nahin hota

vo chahe jaisi bhi ho maa ki mamta kam nahin hoti
bhale hi aaj-kal beta har ik maa ka nahin hota

viraasat baant lete hain jo bacche apne hisse ki
kamaai sab hai jin ki un ka hi hissa nahin hota

bhale tanveer umda khaana qismat mein na ho us ki
kisi muflis ka baccha bhi kabhi bhooka nahin hota

लकीरों में कहीं अज्दाद का पैसा नहीं होता
ग़रीबों का नसीबा हाथ पे लिखा नहीं होता

ये अहल-ए-ज़र ग़रीबों को कभी जीने नहीं देते
अगरचे उस ने सब को एक सा देखा नहीं होता

ये कश्कोल-ए-गदाई है फ़क़त मा'ज़ूर को ज़ेबा
कभी मेहनत-कशों के हाथ में कासा नहीं होता

वो चाहे जैसी भी हो माँ की ममता कम नहीं होती
भले ही आज-कल बेटा हर इक माँ का नहीं होता

विरासत बाँट लेते हैं जो बच्चे अपने हिस्से की
कमाई सब है जिन की उन का ही हिस्सा नहीं होता

भले 'तनवीर' उम्दा खाना क़िस्मत में न हो उस की
किसी मुफ़्लिस का बच्चा भी कभी भूका नहीं होता

  - Altaf Tanveer

Mazdoor Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Tanveer

As you were reading Shayari by Altaf Tanveer

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Tanveer

Similar Moods

As you were reading Mazdoor Shayari Shayari