mureed-e-dair-o-haram kam-se-kam ye kaam karein | मुरीद-ए-दैर-ओ-हरम कम-से-कम ये काम करें - Ameen Saloni

mureed-e-dair-o-haram kam-se-kam ye kaam karein
hadees-e-dard-e-mohabbat ka zauq aam karein

yahi minnat-e-aaraam ye muqaddar hai
ghamon ki dhoop mein raahat ka ehtimaam karein

abhi na den hamein ilzaam bewafaai ka
khud apne va'don ka kahiye vo ehtiraam karein

jo tishna-kaam tire may-kade mein hon saaqi
mere lahoon se vo labreiz apne jaam karein

abhi na jeb na daaman na aasteen ka pata
yaqeen-e-mausam-e-gul ho to intizaam karein

unhin ke lab pe hai amn-o-ameen ka afsaana
wahi jo hazrat-e-insaan ka qatl-e-aam karein

gumaan se ahd-e-yaqeen tak sukoon ki ho duniya
khushi ke saath jo gham ka bhi ehtimaam karein

mazaq-e-ahl-e-gulistaan jo saath de jaaye
qafas-naseebo ki yaadon ka ehtiraam karein

ye daur-e-hashr nahin hai to aur kya hai ameen
kise pukaare yahan kis ko ham-kalaam karein

मुरीद-ए-दैर-ओ-हरम कम-से-कम ये काम करें
हदीस-ए-दर्द-ए-मोहब्बत का ज़ौक़ आम करें

यही मिन्नत-ए-आराम ये मुक़द्दर है
ग़मों की धूप में राहत का एहतिमाम करें

अभी न दें हमें इल्ज़ाम बेवफ़ाई का
ख़ुद अपने वा'दों का कहिए वो एहतिराम करें

जो तिश्ना-काम तिरे मय-कदे में हों साक़ी
मिरे लहूँ से वो लबरेज़ अपने जाम करें

अभी न जेब न दामन न आस्तीं का पता
यक़ीन-ए-मौसम-ए-गुल हो तो इंतिज़ाम करें

उन्हीं के लब पे है अम्न-ओ-अमीं का अफ़्साना
वही जो हज़रत-ए-इंसाँ का क़त्ल-ए-आम करें

गुमाँ से अहद-ए-यक़ीं तक सुकूँ की हो दुनिया
ख़ुशी के साथ जो ग़म का भी एहतिमाम करें

मज़ाक़-ए-अहल-ए-गुलिस्ताँ जो साथ दे जाए
क़फ़स-नसीबों की यादों का एहतिराम करें

ये दौर-ए-हश्र नहीं है तो और क्या है 'अमीं'
किसे पुकारें यहाँ किस को हम-कलाम करें

- Ameen Saloni
0 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ameen Saloni

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari