har ek shaam ka manzar dhuaan ugalne laga | हर एक शाम का मंज़र धुआँ उगलने लगा

  - Ameer Imam

har ek shaam ka manzar dhuaan ugalne laga
vo dekho door kahi aasmaan pighalne laga

to kya hua jo mayassar koi libaas nahin
pahan ke dhoop main apne badan pe chalne laga

main pichhli raat to bechain ho gaya itna
ki us ke baad ye dil khud-b-khud bahlne laga

ajeeb khwaab the sheeshe ki kirchiyon ki tarah
jab un ko dekha to aankhon se khun nikalne laga

bana ke daaera yaadein simat ke baith gaeein
b-waqt-e-shaam jo dil ka alaav jalne laga

हर एक शाम का मंज़र धुआँ उगलने लगा
वो देखो दूर कहीं आसमाँ पिघलने लगा

तो क्या हुआ जो मयस्सर कोई लिबास नहीं
पहन के धूप मैं अपने बदन पे चलने लगा

मैं पिछली रात तो बेचैन हो गया इतना
कि उस के बाद ये दिल ख़ुद-ब-ख़ुद बहलने लगा

अजीब ख़्वाब थे शीशे की किर्चियों की तरह
जब उन को देखा तो आँखों से ख़ूँ निकलने लगा

बना के दाएरा यादें सिमट के बैठ गईं
ब-वक़्त-ए-शाम जो दिल का अलाव जलने लगा

  - Ameer Imam

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Imam

As you were reading Shayari by Ameer Imam

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Imam

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari