kaandhon se zindagi ko utarne nahin diya
us maut ne kabhi mujhe marne nahin diya
poocha tha aaj mere tabassum ne ik sawaal
koi jawaab deeda-e-tar ne nahin diya
tujh tak main apne aap se ho kar guzar gaya
rasta jo teri raah guzarne nahin diya
kitna ajeeb mera bikhrna hai dosto
main ne kabhi jo khud ko bikharna nahin diya
hai imtihaan kaun sa sehara-e-zindagi
ab tak jo tere khaak-basar ne nahin diya
yaaro ameer imaam bhi ik aftaab tha
par us ko teergi ne ubharne nahin diya
काँधों से ज़िंदगी को उतरने नहीं दिया
उस मौत ने कभी मुझे मरने नहीं दिया
पूछा था आज मेरे तबस्सुम ने इक सवाल
कोई जवाब दीदा-ए-तर ने नहीं दिया
तुझ तक मैं अपने आप से हो कर गुज़र गया
रस्ता जो तेरी राह गुज़रने नहीं दिया
कितना अजीब मेरा बिखरना है दोस्तो
मैं ने कभी जो ख़ुद को बिखरने नहीं दिया
है इम्तिहान कौन सा सहरा-ए-ज़िंदगी
अब तक जो तेरे ख़ाक-बसर ने नहीं दिया
यारो 'अमीर' इमाम भी इक आफ़्ताब था
पर उस को तीरगी ने उभरने नहीं दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Imam
our suggestion based on Ameer Imam
As you were reading Andhera Shayari Shayari