khud ko har aarzoo ke us paar kar liya hai
ham ne ab us ka saaya deewaar kar liya hai
jaati thi mere dil se jo tere aastaan tak
duniya ne us gali mein bazaar kar liya hai
de daad aa ke baahar shah-e-rag se khun hamaara
us ne jo apna chehra gulnaar kar liya hai
bas chashm-e-khun-fishan ko milte nahin hain aansu
warna tira murakkab taiyyaar kar liya hai
hai vajh-e-kaj-kulaahi tauq-e-guloo hamaara
zanjeer-e-paa ko apni talwaar kar liya hai
mehsoos kar raha hoon khaaron mein qaid khushboo
aankhon ko teri jaanib ik baar kar liya hai
is baar vo bhi ham se inkaar kar na paaya
ham ne bhi ab ki us se iqaar kar liya hai
ख़ुद को हर आरज़ू के उस पार कर लिया है
हम ने अब उस का साया दीवार कर लिया है
जाती थी मेरे दिल से जो तेरे आस्ताँ तक
दुनिया ने उस गली में बाज़ार कर लिया है
दे दाद आ के बाहर शह-ए-रग से ख़ूँ हमारा
उस ने जो अपना चेहरा गुलनार कर लिया है
बस चश्म-ए-ख़ूँ-फ़िशाँ को मिलते नहीं हैं आँसू
वर्ना तिरा मुरक्कब तय्यार कर लिया है
है वज्ह-ए-कज-कुलाही तौक़-ए-गुलू हमारा
ज़ंजीर-ए-पा को अपनी तलवार कर लिया है
महसूस कर रहा हूँ ख़ारों में क़ैद ख़ुशबू
आँखों को तेरी जानिब इक बार कर लिया है
इस बार वो भी हम से इंकार कर न पाया
हम ने भी अब की उस से इक़रार कर लिया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Imam
our suggestion based on Ameer Imam
As you were reading Protest Shayari Shayari