na khuli aankhon se dahshat ka nazaara dekhna | न खुली आँखों से दहशत का नज़ारा देखना

  - Amit Sharma Meet

na khuli aankhon se dahshat ka nazaara dekhna
jo hamaara hai use auron ka hota dekhna

roo-b-roo us ko nazar bhar dekh bhi sakte nahin
haaye kitna dukh bhara hai khud ko aisa dekhna

kya ajab sa rog beenaai ko meri lag gaya
har kisi chehre mein bas us ka hi chehra dekhna

ishq mein pathra chuki aankhon se hai mushkil bahut
chaand ko thehre hue paani mein chalta dekhna

haaye kya manzar-kashi ubhri hai is tasveer mein
roti aankhon se kisi pyaase ka dariya dekhna

raat bhar bechainiyaan sone nahin detiin mujhe
aur din bhar raat ke hone ka rasta dekhna

maut ham se do qadam ke faasle par hai khadi
ab bahut dilchasp hoga ye tamasha dekhna

न खुली आँखों से दहशत का नज़ारा देखना
जो हमारा है उसे औरों का होता देखना

रू-ब-रू उस को नज़र भर देख भी सकते नहीं
हाए कितना दुख भरा है ख़ुद को ऐसा देखना

क्या अजब सा रोग बीनाई को मेरी लग गया
हर किसी चेहरे में बस उस का ही चेहरा देखना

इश्क़ में पथरा चुकी आँखों से है मुश्किल बहुत
चाँद को ठहरे हुए पानी में चलता देखना

हाए क्या मंज़र-कशी उभरी है इस तस्वीर में
रोती आँखों से किसी प्यासे का दरिया देखना

रात भर बेचैनियाँ सोने नहीं देतीं मुझे
और दिन भर रात के होने का रस्ता देखना

मौत हम से दो क़दम के फ़ासले पर है खड़ी
अब बहुत दिलचस्प होगा ये तमाशा देखना

  - Amit Sharma Meet

Gareebi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amit Sharma Meet

As you were reading Shayari by Amit Sharma Meet

Similar Writers

our suggestion based on Amit Sharma Meet

Similar Moods

As you were reading Gareebi Shayari Shayari