teri tasveeron ko dekh pighalti hain | तेरी तस्वीरों को देख पिघलती हैं

  - Amit Sharma Meet

teri tasveeron ko dekh pighalti hain
ab ye aankhen ham se nahin sambhalti hain

har din chehra alag tarah ka hota hai
gham ki shaklein bhi to roz badalti hain

in khwaabon ka sach hona kya mumkin hai
jin ke khaatir aankhen meri jaltee hain

jaane kis ka lahja us par haavi hai
us ki baatein ab angaar ugalati hain

dil ke qabrastaan ka yaaron kya kehna
laashein bas jazbaat ki is mein palati hain

jab tak hoon main zinda milne aa jaao
lamha lamha saansen roz nikalti hain

ummeedon ka suraj roz nikalta hai
shaam ke jaisi meet umeedein dhalti hain

तेरी तस्वीरों को देख पिघलती हैं
अब ये आँखें हम से नहीं सँभलती हैं

हर दिन चेहरा अलग तरह का होता है
ग़म की शक्लें भी तो रोज़ बदलती हैं

इन ख़्वाबों का सच होना क्या मुमकिन है
जिन के ख़ातिर आँखें मेरी जलती हैं

जाने किस का लहजा उस पर हावी है
उस की बातें अब अंगार उगलती हैं

दिल के क़ब्रिस्तान का यारों क्या कहना
लाशें बस जज़्बात की इस में पलती हैं

जब तक हूँ मैं ज़िंदा मिलने आ जाओ
लम्हा लम्हा साँसें रोज़ निकलती हैं

उम्मीदों का सूरज रोज़ निकलता है
शाम के जैसी 'मीत' उमीदें ढलती हैं

  - Amit Sharma Meet

Jazbaat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amit Sharma Meet

As you were reading Shayari by Amit Sharma Meet

Similar Writers

our suggestion based on Amit Sharma Meet

Similar Moods

As you were reading Jazbaat Shayari Shayari