kahin to log sab khushiyaan manaate hain december mein | कहीं तो लोग सब ख़ुशियाँ मनाते हैं दिसम्बर में

  - Rehaan

kahin to log sab khushiyaan manaate hain december mein
kahin pe log apnon ko ganwaate hain december mein

thithurta hai koii majboor bhookha thand mein din-raat
kahin sab shauq se candle jalate hain december mein

na din mein hi koii raunak na koii shor raaton ko
ki jitne gaav hain sab rooth jaate hain december mein

kiye the jo bhi vaade january mein jis kisi se bhi
vo vaade log saare tod aate hain december mein

jo jud jaate hain do dil yun hi bheetar ek chaate ke
vo dil phir bistaron pe toot jaate hain december mein

jo beeti farvari marte the ik dooje se milne ko
vo milne par bhi ab nazarein churaate hain december mein

kaiyen khush hain ki aani farvari phir to kaiyen aise
jo beeti farvari ka gham bhulaate hain december mein

hua jo kuchh bhi poore saal bhar rehaan vo saare
gile-shikwe purane yaad aate hain december mein

कहीं तो लोग सब ख़ुशियाँ मनाते हैं दिसम्बर में
कहीं पे लोग अपनों को गँवाते हैं दिसम्बर में

ठिठुरता है कोई मजबूर भूखा ठंड में दिन-रात
कहीं सब शौक़ से कैंडल जलाते हैं दिसम्बर में

न दिन में ही कोई रौनक न कोई शोर रातों को
कि जितने गाँव हैं सब रूठ जाते हैं दिसम्बर में

किए थे जो भी वादे जनवरी में जिस किसी से भी
वो वादे लोग सारे तोड़ आते हैं दिसम्बर में

जो जुड़ जाते हैं दो दिल यूँ ही भीतर एक छाते के
वो दिल फिर बिस्तरों पे टूट जाते हैं दिसम्बर में

जो बीती फ़रवरी मरते थे इक दूजे से मिलने को
वो मिलने पर भी अब नज़रें चुराते हैं दिसम्बर में

कईं ख़ुश हैं कि आनी फ़रवरी फिर तो कईं ऐसे
जो बीती फ़रवरी का ग़म भुलाते हैं दिसम्बर में

हुआ जो कुछ भी पूरे साल भर 'रेहान' वो सारे
गिले-शिकवे पुराने याद आते हैं दिसम्बर में

  - Rehaan

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rehaan

As you were reading Shayari by Rehaan

Similar Writers

our suggestion based on Rehaan

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari