kabhi khud ko gale se to lagaaya ja nahin saka | कभी ख़ुद को गले से तो लगाया जा नहीं सकता

  - Ansar Ethvii

kabhi khud ko gale se to lagaaya ja nahin saka
likha ho jo muqaddar mein mitaaya ja nahin saka

jise tum raaz dete ho wahi nuqsaan bhi dega
yahan har shakhs ko dil se lagaaya ja nahin saka

likhi cheezen to mit jaayen ye mumkin ho bhi saka hai
kabhi naqsh-e-khyaali ko mitaaya ja nahin saka

jahaan mein jo bhi hai mansoob vo mansoob rehta hai
jahaazon ko to patri par chalaaya ja nahin saka

tujhe chunna padega ab yahan rasta hifaazat ka
hawa mein to charaagon ko jalaya ja nahin saka

vo shehron ke badalkar naam naakaami chhupaate hain
magar phir bhi haqeeqat ko chhupaaya ja nahin saka

कभी ख़ुद को गले से तो लगाया जा नहीं सकता
लिखा हो जो मुक़द्दर में मिटाया जा नहीं सकता

जिसे तुम राज़ देते हो वही नुक़्सान भी देगा
यहाँ हर शख़्स को दिल से लगाया जा नहीं सकता

लिखी चीज़ें तो मिट जाएँ ये मुमकिन हो भी सकता है
कभी नक़्श-ए-ख़याली को मिटाया जा नहीं सकता

जहाँ में जो भी है मंसूब वो मंसूब रहता है
जहाज़ों को तो पटरी पर चलाया जा नहीं सकता

तुझे चुनना पड़ेगा अब यहाँ रस्ता हिफ़ाज़त का
हवा में तो चराग़ों को जलाया जा नहीं सकता

वो शहरों के बदलकर नाम नाकामी छुपाते हैं
मगर फिर भी हक़ीक़त को छुपाया जा नहीं सकता

  - Ansar Ethvii

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ansar Ethvii

As you were reading Shayari by Ansar Ethvii

Similar Writers

our suggestion based on Ansar Ethvii

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari