ujad chuki hai harik shaakh barg-o-baar nahin | उजड़ चुकी है हरिक शाख बर्ग-ओ-बार नहीं - A R Sahil "Alig"

ujad chuki hai harik shaakh barg-o-baar nahin
bahaar mein bhi hamaare liye bahaar nahin

har ek shakhs khuda ko samajhta hai adnaa
khata pe apni koi bhi to sharm-saar nahin

yaqeen tujhko nahin hai jo meri chaahat ka
mujhe bhi teri wafaon p aitbaar nahin

gulon ne pahan liya hai fareb ka chashma
bahaar jisko samjhte hain vo bahaar nahin

rahe vo dost ki dushman hai saare mauqa-parast
hamaara koi kahi bhi to gham-gusaar nahin

bichhad ke usse ye kehne ki baat bhar hai bas
use bhi chain nahin hai mujhe qaraar nahin

bata de saaqi tujhe intizaar hai kiska
main pee chuka hoon yahan aur bada-khwaar nahin

main teri baat p waiz yaqeen kaise karoon
yahan kisi ko khuda ka bhi aitibaar nahin

hum aise shakhs ke pinjar mein qaid hain saahil
hamaare vaaste koi rahe-faraar nahin

उजड़ चुकी है हरिक शाख बर्ग-ओ-बार नहीं
बहार में भी हमारे लिए बहार नहीं

हर एक शख़्स ख़ुदा को समझता है अदना
ख़ता पे अपनी कोई भी तो शर्म-सार नहीं

यक़ीन तुझको नहीं है जो मेरी चाहत का
मुझे भी तेरी वफ़ाओं प ऐतबार नहीं

गुलों ने पहन लिया है फ़रेब का चश्मा
बहार जिसको समझते हैं वो, बहार नहीं

रहे वो दोस्त कि दुश्मन, है सारे मौक़ा-परस्त
हमारा कोई, कहीं भी तो ग़म-गुसार नहीं

बिछड़ के उससे ये कहने की बात भर है बस
उसे भी चैन नहीं है मुझे क़रार नहीं

बता दे साक़ी तुझे इन्तिज़ार है किसका
मैं पी चुका हूँ, यहाँ और बादा-ख़्वार नहीं

मैं तेरी बात प वाइज़ यक़ीन कैसे करूँ?
यहाँ किसी को ख़ुदा का भी ऐतिबार नहीं

हम ऐसे शख़्स के पिंजर में क़ैद हैं साहिल
हमारे वास्ते कोई रहे-फ़रार नहीं

- A R Sahil "Alig"
1 Like

Revenge Shayari

Our suggestion based on your choice

More by A R Sahil "Alig"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Alig"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Alig"

Similar Moods

As you were reading Revenge Shayari Shayari