door the hosh-o-hawas apne se bhi begaana tha | दूर थे होश-ओ-हवास अपने से भी बेगाना था

  - Arzoo Lakhnavi

door the hosh-o-hawas apne se bhi begaana tha
un ko bazm-e-naaz thi aur mujh ko khalvat-khaana tha

kheench laaya tha ye kis aalam se kis aalam mein hosh
apna haal apne liye jaise koi afsaana tha

chhote chhote do varq jal jal ke daftar ban gaye
dars-e-hasrat de raha tha jo par-e-parwaana tha

jaan kar waarfta un ke chhedne ki der thi
phir to dil ik hosh mein aaya hua deewaana tha

zau-fishaan hone laga jab dil mein husn-e-khud-numa
phir to kaaba aarzoo kaaba na tha but-khaana tha

दूर थे होश-ओ-हवास अपने से भी बेगाना था
उन को बज़्म-ए-नाज़ थी और मुझ को ख़ल्वत-ख़ाना था

खींच लाया था ये किस आलम से किस आलम में होश
अपना हाल अपने लिए जैसे कोई अफ़्साना था

छोटे छोटे दो वरक़ जल जल के दफ़्तर बन गए
दर्स-ए-हसरत दे रहा था जो पर-ए-परवाना था

जान कर वारफ़्ता उन के छेड़ने की देर थी
फिर तो दिल इक होश में आया हुआ दीवाना था

ज़ौ-फ़िशाँ होने लगा जब दिल में हुस्न-ए-ख़ुद-नुमा
फिर तो काबा 'आरज़ू' काबा न था बुत-ख़ाना था

  - Arzoo Lakhnavi

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Arzoo Lakhnavi

As you were reading Shayari by Arzoo Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Arzoo Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari