jab zindagi sukoon se mahroom ho gai | जब ज़िंदगी सुकून से महरूम हो गई - Asad Bhopali

jab zindagi sukoon se mahroom ho gai
un ki nigaah aur bhi maasoom ho gai

haalaat ne kisi se juda kar diya mujhe
ab zindagi se zindagi mahroom ho gai

qalb o zameer be-his o be-jaan ho gaye
duniya khuloos o dard se mahroom ho gai

un ki nazar ke koi ishaare na pa saka
mere junoon ki chaaron taraf dhoom ho gai

kuch is tarah se waqt ne leen karvatein asad
hansati hui nigaah bhi maghoom ho gai

जब ज़िंदगी सुकून से महरूम हो गई
उन की निगाह और भी मासूम हो गई

हालात ने किसी से जुदा कर दिया मुझे
अब ज़िंदगी से ज़िंदगी महरूम हो गई

क़ल्ब ओ ज़मीर बे-हिस ओ बे-जान हो गए
दुनिया ख़ुलूस ओ दर्द से महरूम हो गई

उन की नज़र के कोई इशारे न पा सका
मेरे जुनूँ की चारों तरफ़ धूम हो गई

कुछ इस तरह से वक़्त ने लीं करवटें 'असद'
हँसती हुई निगाह भी मग़्मूम हो गई

- Asad Bhopali
1 Like

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Asad Bhopali

As you were reading Shayari by Asad Bhopali

Similar Writers

our suggestion based on Asad Bhopali

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari